18.12.11

rushabh aur naresh


sadguru ke charano me sikh lo aatm prasadjaa mati kaa raastaa..
magadh naresh kabhi kabhi apane ashw shaalaa ki ,rushabh shaalaa ki dekhbhaal karane jaataa…ek rushabh maane bail raajaa ko achhaa lagataa…us ke sing suhaavane the, sharir dhashpusht thaa…raajaa us ko dulaar karataa , prem se thapthapaataa…..kisi kaaran se raajaa vyast thaa, baahar jaanaa padaa thaa to  rushabh shaalaa me 2-3 saal ke baad gayaa..dekhaa ki us ke pyaare rushabh ki haalat bahot kharaab hai..
bole, kyaa ye wo hi rushabh hai?
karmchaari bole, ‘haa raajan, ye wo hi hai’
raajaa bolaa, ‘kahaa gayaa is kaa swaasthy, kahaa gayaa is kaa aakarshan,kahaa gayi is ki jawaani,kahaa gayi is ki chamak?’
bole, raajaadhiraaj ye ek rushabh ki nahi,saare praniyo ki kahaani hai ki budhaape ke kaaran aise ho jaate.. budhaape ki chapet is rushabh ko bhi lag gayi hai raajan…budhaape ke baad ab kabhi bhi mrutyu ki chapet aa jaayegi… ek saal yaa kuchh mahino kaa mehamaan hai bechaaraa!’
‘to kyaa mujhe bhi budhaape ke baad mrutyu aayegi?…humhaare bhi baal kahi kahi saphed ho rahe..budhaapaa aa rahaa hai..meri bhi mrutyu hogi…’
..bail ko dekhaa to raajaa wahi baith gayaa…sochane lagaa ki, kyaa ye jagat ki nashwartaa!.. aage badho.. ye paao.. ye course karo.. aisaa house aisaa makaan banaao, aise gahene banaao..murkh manushy kyaa dikhaave ke pichhe pade hai…lankesh ke paas sone ki lankaa nahi rahi..hiranyakashyapu kaa hiranpur nahi rahaa.. murkh manushyo ki naayi ‘aur chaahiye,aur chaahiye’ kyo  karu?
karane kaa phal bhi nashwar hotaa hai..
kisi bhi karm ke  2 hi vikalp hote.. ashubh yaa shubh… ashubh kaa phal dukh aur shubh kaa phal punya.. ashubh se malin hogaa aur shubh se pavitr hogaa aur swarg me jaayegaa to bhi swarg se punya khatm hone ke baad giranaa to hai hi ..shub se pavitr hogaa,lekin phir apavitr sharir me hi aayaa hai… arre rishabh! teraa budhapa mujhe preranaa de rahaa… mai sab kuch nochhavar karu phir bhi teraa budhapaa nahi rok sakataa,mai itane bade saamrajya kaa raajaa hokar bhi lachaar hai… kaal ke aage, prakruti ke aage sabhi laachaar hai… hum bhi tere saath budhe hone jaa rahe vats!..teri aankho me makhkhiyaa bhin-bhinaa rahi,teri vo pyaari si uchhalkud sab gaayab ho gayi… mai bhi ab pahele se vrudhd ho gayaa hun… hey rushabh ,is kaal chakra ke ghode sab ko bhagaaye liye jaa rahe… kayi dhani dhan kaa chintan kar ke mare to sarp ho ke bhatak rahe..kayi kaami lalanaao ka chintan kar ke mare to lalanaaye, bakari ban gaye.. khargosh ban gaye.. suwar ban gaye…
ishwar ke sivaay kahi bhi man lagaayaa to ant me ronaa hi padegaa ! ..ye sunaa hai shaashra  vachan… raajaadhiraaj samraat to kaal hai, jo sab ko nigal rahaa hai…kaal  kaa samraat jo ‘a-kaal’ hai, us ko kab paaungaa?…jo sab kaa saakshi hai…jis ke saamane  kaal bhi  baunaa ho jaataa hai, maut bhi bauni ho jaati hai… kaal vastuo pe prabhaav daal sakataa hai…lekin  omswarup aatmaa ke aage kaal bhi kuchh nahi kar sakataa…kaal kaa kaal aise a-kaal, saakshi swabhaav me jagu aise din kab aayenge mere?
kaal is nashwar sharir ko nigal le, us ke pahele prabhu kaa gyaan kaa prasaad paa lenaa chaahiye..aayushy nasht ho rahi , din din nasht ho rahe ..jaise kaarkhaane ke barf ki laadiyaa har minute pighalati aise garbh se nikalaa ye jeev har minute khatam hote jaa rahaa…
hey rushabh! tu bhi 2 din kaa mehmaan hai ki 2 varsh kaa mujhe pataa nahi,aise mujhe apane sharir ka bhi pataa nahi ki ye khilona kab tuk rahegaa….
phalaane ne aisaa kiyaa,phalaane ne waisaa kiyaa..phalaane ko aisaa karu ..isi phalaane ke sochane me aayushy nasht kar di….. phalaane ke gaheraayi me baithaa aatmdev hai… mai bhi budhda ho rahaa hun ..
rishabhshaalaa me raajaa ne vichaar karate karate raat bitaa di..
subah kaa suraj magadh naresh ke jeevan me nayaa prakaash lekar aayaa…praan pakheru tan ke ghosale ko chhodkar ud jaaye is ke pahele udane ki shakti denewaale samraat ko paa lene kaa magadh naresh ne nischay kar liyaa…
mujhe ved kuraan se kyaa lenaa,mujhe prem kaa paath padhaa de koyi..
mujhe hruday mandir me shaanti dilaa de koyi
jahaa unch nich kaa bhed nahi, jahaa jaat paat ki baat nahi
mandir masjid me phark nahi..aise prabhu me vishraanti mile..
hey manavaa tu mujhe wahaa le chal !..
raajaa  jaise yudhd ke karn bhedi lalkaar sunkar sajaag ho jaate , aise antaraatmaa ki pukaar se magadh naresh sajaag ho gaye …
hey rajlaskhmi! dhanywad hai..hey mantri! apani khushaamat dur rakho, hey vaid hakeem! apane chavanpraash apane paas rakho mujhe to prabhu paash me jaanaa hai…
raajaa ne jungle kaa raastaa pakad liyaa… saatvik havaa, saatvik aandolan man ko unnat karate…sansaari waataavaran man ko halake pan me le jaate..
jahaa mahaapurusho kaa sannidhya hai, ekaant hai, satpurush ki charan raj hai ,aisaa waataavaran man ko unnat karataa hai, vichaar bhi jaldi unnat hote hai…
magadh naresh saguruji ke charano me gaye…munivar ko danvat pranaam kiya.. .mujhe bhogi lolup jeevan nahi jeenaa hai..mujhe to bhagavat may jeevan jeenaa hai baabaaji ..
mujhe to vo kathaa bhi yaad  aa jaati hai, jahaa yudhishtir mahaaraaj sant ke jeevan ko dekh ke rone lage the…arjun rone lage the..bhagavaan krushn bhi rone lage the, sant bhi rone lage the…
shrikrushn  yudhishtir aur arjun ko ek aatmaaraami sant ke darshan ke liye le gaye the.. soche ki , jo apane akaal swarup ke vishraanti me the..apane hruday mandir me shudh budh chaityany rup me ishwar ko paaye huye param sant ke darshan karaa du..
rath jahaa tuk jaa sakataa thaa wahaa tuk gaye, baad me pagdandi se chalate gaye..bilori kanch jaisa jharanaa..sundar paudhe phal aadi the..shaam kaa samay thaa…aise suhaavane waataaavaran me ve mahaapurush bramhras me magan the… yudhishtir ro pade..arjun ne bhi ronaa chaalu kiyaa… shrikrush ne bhi ronaa shuru kiyaa..sant bhi rone lage..
rudan samaapt huaa…
arjun ne puchhaa, ‘prabhu aap kyo roye?’
bhagavaan shrikrushn bole, ‘arjun tum kyo roye?’
Arjun bole, ‘bade bhaai yudhishtir roye to mai bhi royaa..
to bade bhai se puchhaa ki , tum kyo roye?
bade bhai bataaye ki, ‘mujhe isliye ronaa aayaa ki din din aayushy naash ho rahaa hai..jeevan kshin ho rahaa hai…ek to manushya jeevan durlabh ; us me bhi mahaapurusho kaa sampark ati durlabh…thodi der me hum chale jaayegnge waapas ..kahaa humhaaraa raagi, dweshi,lalanaao ke khushaamat khori kaa gandaa jeevan, aur kahaa ye mahaaprusho ki unnat jindagi!mai apane  bhaagy ko rotaa hun..
mahaatman se puchhe, ‘aap kyo roye?’
mahaatmaa bole, itanaa virakta hokar samay bachaane ke liye saadhu ban ke ekaant me aayaa… abhi abhi kahi yaatraa ho rahi hai…ab suprasidhd yudhishtir raajaa aur arjun aaye to ab saare log aane lagenge aur meraa samay aur shakti dono noch lenge, isliye mai ro rahaa thaa..kaisaa prarabdh hai ,kaisaa prakop hai ki ishwariy sukh aur aanand se chhudaakar tu tu mai mai ke maahol dekhakar meraa chitt bhi un ke jaisaa ho jaayega isliye mai royaa.. lekin prabhu shrikrushn aap to bhagavaan hai, aap kyo roye?
shrikrushn bole, mahaatman aisa kaliyug aa rahaa hai ki aap ke jaise vishraanti paaye sant kahaa  milenge?…aise sant mile bhi to kaliyug ke abhaage log pahechan nahi paayenge…murtiyo me, math-mandiro me , apane hi banaaye huye pratimaao  me ulajhe rahenge …vastvik bhagavaan me aakar logo kaa mangal karanewaale santo kaa aadar karane waale raaje bhi nahi honge…apane raajya vaibhav ki tuchhataa mahesus karanewaale yudhishtir jaise raaje bhi nahi honge, kaliyug ke tuchh raajaa to apane ko badaa manegaa.. mai badaa maanane me hi ve badi budhdimaani maanenge…aise aatmaaraami hayaat santo kaa aadar karane waale raajaa kaa abhaav hogaa… sachchi shradhdaa bhaav waale yatkinchit log kabhi milenge to bhi aise mahaan satpurusho kaa phaayadaa lene ke badale sansaar ki guththiyaa suljhaane ke liye, nashwar sukh suvidha ke liye hi karenge aise abhaage….
kahaa bramhaand kaa samraat aur ye halaki matiwale kahaa 2 paise ke chane maang rahe!aatmaa paramaatm ko dekhane ki drushti denewale se tuchh vastu manganewaale ullu mati ke logo ki sankhyaa badh jaayegi….. maanavataa kaa rhaas hogaa..aisaa  kaliyug kaa nakaaraatmak bhavishy soch kar ronaa aa gayaa mujhe…’
gaud raajaa gurumaharaaj ko praarthanaa karate..vo  prakash dijiye maharaaj jo agyaan kaa andhakaar dur kare..vo prasaad dijiye jo sare gyaan ke  prasaado kaa prasaad  hai..hey aatmaaraami mahaatmaa , mai gaud naresh nahi…mai aap ke dwaar kaa bhikshuk hun..meraa abhimaan mar jaaye aisi krupaa karo mahaaraaj..
gurdev daya kar do mujh mapr mujhe gyaan saagar se swaami ab nirmal gaagar bharane do..
sir pe chhaayaa ghor andheraa sujhat naahi raah koyi
in nayano ko baheno do prabhu ke pyaar me..
chaahe tairaa do, chaahe dubaa do
mar bhi gaye to denge duwaaye
ye sharir rup naav to meri hai, lekin khivvaiyya aap hi bano..
ye naav meri aur haath tere, mujhe bhavasaagar se tarane do..
gurudev dayaa kar do mujhpar..
bhagavat prapti ki prarthanaa badaa rang laati hai..
jaise sharir swachh karane ke liye roj snaan  karate aise man ko swachh karane ke liye roj prabhu ko pukaaro…
gaandhiji kahete bhojan naa mile to chal jaayegaa lekin praarthanaa naa karu to paagal ho jaungaa..
aap bhi kahi budhdaa bimaar dekho to, mitra kaa dhokaa dekho to saawadhaan ho jaao.
vikaaro ke aaveg ke baad sharir ki buri haalat dekho to saawadhaan ho jaao.
durlabh manushy sharir aur us me bhi mahaapurusho kaa sampark milanaa mahaa durlabh hai..
raatbhar vichaar karane ke baad gaud naresh apanaa saamraajya chhodkar sachche samraat ke paas gaye.. sat me jage aatmaaraami samraat ke paas pahunch gaye to apane aatmadev ko paa liye.

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें