..raja bhagirath ko unko guru bole tum jaha rajpat mey rahekar ye abhyas karate,rajbhog ka watavaran karate, isiliye tum ko bramhi sthiti prapt nahi hoti..tum ab rajpat ka tyag kar do , shatru ke dwar pe jake bhiksha mango.. rag dwesh bhayankar badha hai ishwarprpati mey ya manushy vikas mey ye sab se badi badha hai.. raj-gaddi sambhalani hoti hai to swarthi log raag karenge.. dusare dwesh karenge ..to jo dwesh kar rahe unke yaha jakar bhiksha mango.. raja 7 din ke andar rajpat ka tyag kar ke , rajlaksmhi chhdokar chal diye shatruo ke ghar “narayan hari ” kiye..shatru ne socha ye to bichare sadhu ho gaye.. jaha sampada hoti to ladayi jhagade hote..
iska matlab ye nahi ki tum bhi bhiksha mangane chale jao.. is ka arth ye nahi lena.. ..
.. raja bhagirath ne kiya, tum nahi karana..to raja bhagirath ka raag chhut gaya shatru ka dwesh chhut gaya.. raja aatm sthiti mey vicharan karane laga.. bhuk lagi to bhiksha mangi, khaya, nind aayi , so gaye..apane aap ko jana..maan ko prerana denewala mai hun , chaityan mai hun, budhdi ka prakashak mai hun…. rat ko sote to jisamey vishranti paate, subah uthate to jo hruday mey sphurit hota hai …pratah smarami ..jagrut swapn se spurit hota hai, wo mai hun..ekras..sada..apani bramhi sthiti mey vicharan guru ke dwar pe pahunche bhagirath raja…guru ne dekha ab bhagirath “raja” nahi hai..bhikshuk ho gaye… aankho mey dekha ki bhikshuk bhi dekhane bhar ko hai .. bhagirath to aisa mahan rajy paa liye ki ab “maharaj” hai..!
suraj jis se prakashata hai, chanda jis se shitalata deta, akhil bramhand ke uttpatti, sthiti, pralay ke sakshi tatv mey ekatv ho gaya hai…ghada phuta to ghade ka aakash mahakash ho gaya hai..bhagirath ab bramh ho gaye..guru ne hruday se lagaya raja ko…. purn guru ki krupa mili… purn guru ka gyan mila..bhagairath ab “raja” se “aatmaram” ho gaye… param swatantr ho gaye..ekant mey apane bramhsukh mey arhete.. kuchh samay tike ek jagah to dusari jagah jate..

ek din vicharan karate dusare rajy mey pahunche..us rajy ka raja mar gaya tha.. vidhan tha ki hathini ko saja ke usa ko kalash denge ..aur hathini yogya aatma ke sit mey kalash rakhegi.. us ko raja ghoshit kiya jayega ..bhagirath vicharan karate karate kamandal lekar ja rahe the..ab unko asali rajy mila tha,aatmsukh ka.. aatmsukh mey vicharan karate raat ko soye..subah uthe..ek jagah bhiksha le rahe the aatmsukh mey, bramhanand mey..ishar se hathini ko sajakar gut mey mantri aadi jaa rahe the…hathini raja bhagirath ko dekh ke ruk gayi..bhagirath ke sir pe kalash rakh diya..raja ko dekh ke ,sare lakshan dekh ke ,hathini ne nirnay de diya…ye sant tumhare desh ke raja banenge ..raja bhagirath ko anbhishikt rajy mila tha, sukh chahiye nahi..ab to dena dena hi hai.. kuchh chahiye nahi.. rajy mey charo taraf aanand, kushal,mangal.. charcha huyi..koyi sadhu baba jaisa tha, usake hath mey praja bahot sukhi hai.. raja ke darshan karane sant aane lage.. raja apana “hari hari”..hari mey shanti..
..raja ka yash jo rajya chhod ke aaye the waha bhi pahuncha..shatru to ab shatru nahi the, lekin un ko bhi pata chala..sadhu pahale kaun the, kaun se rajya ke raja the…to pata chal gaya ki bhagirath raja the ..to shatru bhi kahane lage ki hame dhikkar hai..rajpat chhod ke gaye the aatm rajy ko paaye aur un rajao ke rajya bhi bhogate..kitane unche huye… shital rushi ke charano mey wo aaye.. apane asali nakali rajy sambhalo… kya ab aap ko problem nahi ? dikkat nahi?..raja bhagirath ka to ab “nirlep”ho gaye the.. jo pahale wala rajy ab nahi raha..us samay tuk rajkaj sambhala jab tuk jaruri tha…phir rajpat soup kar kashi gaye…dekha ki apane pitaro mey jo atrupt aatmaye hai, unki trupti karana hai.. usake liye gangaji ko pruthvi pe lana hai.. bhagavan shiv ji aur vishnuji ko prasann kiya.. gangaji aayi pruthvi par.. “bhagirathi ganga” kahelayi.. himalay se chali…kitane samay se karodo ko sujal, suphal, mangal, kalyan karati aaj bhi pawan kar rahi hai…
..khali apane aatma ko janane se kitane bade bade kam hote hai …raja bhagirath ko pital muni ka kahena mana aatmrajy mila..sath mey apana rajy pados ka bhi rajy mila.. gangaji ko bhi pruthvi par laye..jis se lakho karodo ka phayada hua ..bhagirathi ganga ka pani to akabar bhi pite… gangaji ka pani mangavate..ganga jal kitana pavitr hai.. ganga jal mey punyprabhav abhi bhi hai…
om om om..
om om om..